ḳhālī ḳhālī rastoñ pe be-karāñ udāsī hai
jism ke tamāshe meñ ruuh pyāsī pyāsī hai
ḳhvāb aur tamannā kā kyā hisāb rakhnā hai
ḳhvāhisheñ haiñ sadiyoñ kī umr to zarā sī hai
rāh-o-rasm rakhne ke ba.ad ham ne jaanā hai
vo jo āshnā.ī thī vo to nā-shanāsī hai
ham kisī na.e din kā intizār karte haiñ
din purāne sūraj kā shaam baasī baasī hai
dekh kar tumheñ koī kis tarah sambhal paa.e
sab havās jaage haiñ aisī bad-havāsī hai
zaḳhm ke chhupāne ko ham libās laa.e the
shahr bhar kā kahnā hai ye to ḳhūñ-libāsī hai