makāñ nazdīk hai yā lā-makāñ nazdīk paḌtā hai
kahīñ aa jaao mujh ko har jahāñ nazdīk paḌtā hai
jahāñ tum ho vahāñ se duur paḌtī hai zamīñ merī
jahāñ maiñ huuñ vahāñ se āsmāñ nazdīk paḌtā hai
sunā hai ik jahān-e-be-nihāyat ho magar phir bhī
ye tai hai be-karāñ ko be-karāñ nazdīk paḌtā hai
chale aate haiñ ham ik dūsre kī samt meñ varna
tumheñ sahrā mujhe dariyā kahāñ nazdīk paḌtā hai
na.e alfāz rakh kar dekhtā huuñ kuchh purānoñ meñ
ma.ānī se mirā rishta kahāñ nazdīk paḌtā hai
balā kī dhuup hai dasht-e-talab meñ ai dil-e-nādāñ
yahāñ kis aarzū kā sā.ebāñ nazdīk paḌtā hai