Khaavar Ejaz

darun-e-jaan ka shagufa jala hua nikla

Khaavar Ejaz

1950
darūn-e-jāñ kā shagūfa jalā huā niklā
so jo sharār bhī niklā bujhā huā niklā
churā ke le ga.ī jaane havā-e-shab kyā kyā
uThe to ḳhvāb-darīchā khulā huā niklā
ik arse baad huī khul ke guftugū us se
ik arse baad vo kāñTā chubhā huā niklā
dharī hī rah ga.ī ḳhvāhish nihāl hone kī
numū kā daur thā aur dil dukhā huā niklā
khule paḌe the sabhī dar makān-e-hastī ke
makīn ḳhud kahīñ bāhar gayā huā niklā
fazā-e-jāñ meñ to ik iztirār thā hī magar
jahān-e-dil meñ bhī dhaḌkā lagā huā niklā
ik umr ḳhvāb meñ guzrī thī rañg bharte hue
khulī jab aañkh to manzar dhulā huā niklā
Top Urdushayar.com