Khaavar Ejaz

jab ek bar kisi intiha pe ja Thahre

Khaavar Ejaz

1950
jab ek baar kisī intihā pe jā Thahre
phir us ke ba.ad nazar rāstoñ meñ kyā Thahre
safar pe nikle the jab zindagī giraft meñ thī
ma.āl-e-kār bas ik mauja-e-havā Thahre
ajab nahīñ hai ki barsoñ ke ghup añdhere meñ
diyā jalā.eñ to manzar hī dūsrā Thahre
chamak uThe kabhī aa kar mirī hathelī par
vahī sitāra kabhī āsmāñ pe jā Thahre
mufāhamat kī nikaltī nahīñ hai raah koī
jab apne apne usūloñ pe baat aa Thahre
ham ek aise dorāhe pe aa chuke haiñ ki ab
qadam baḌhā.e to raste judā judā Thahre
maiñ apne saañs kī gaThrī utaar luuñ sar se
hayāt-e-tez-safar se kaho zarā Thahre
Top Urdushayar.com