ye marhala hai mire āzmā.e jaane kā
milā hai hukm mujhe kashtiyāñ jalāne kā
bahāna DhūñD rahe haiñ tamām ahl-e-sitam
fasīl-e-shahr-e-vafā meñ naqab lagāne kā
baḌe sukūn se soī hai aaj ḳhilqat-e-shahr
manā ke jashn charāġhoñ kī lau bujhāne kā
havā-e-shahr hī jab ho ga.ī ḳhilāf mire
use bhī aa gayā fan uñgliyāñ uThāne kā
mire vajūd meñ zinda hai shaukat-e-māzī
maiñ ik sutūn huuñ guzre hue zamāne kā
rukī huī hai lab-e-ḳhushk par hayāt kī buuñd
phir us ke ba.ad to manzar hai Duub jaane kā
safar kī shaam mirī zindagī ke māthe par
bas ik sitāra tire nuur āstāne kā