Khaavar Ejaz

maqam-e-nur ho kar rah gaya hai

Khaavar Ejaz

1950
maqām-e-nūr ho kar rah gayā hai
vo ham se duur ho kar rah gayā hai
charāġh-e-dil bujhā to tan-badan meñ
dhuāñ mahsūr ho kar rah gayā hai
ḳhudī meñ be-ḳhudī ko chhū liyā thā
nasha kāfūr ho kar rah gayā hai
havā ghere hue hai tāq-e-shab ko
diyā ma.azūr ho kar rah gayā hai
jo taara ḳhaak se honā thā zāhir
vahī mastūr ho kar rah gayā hai
ye dil had se guzarnā chāhtā thā
magar majbūr ho kar rah gayā hai
mirā ġham terī tārīḳh-e-karam meñ
faqat mazkūr ho kar rah gayā hai
unhī hāthoñ se banñā aur miTnā
yahī dastūr ho kar rah gayā hai
Top Urdushayar.com