Khaavar Ejaz

ek qatra-e-mani se afkar ka dariya ho

Khaavar Ejaz

1950
ik qatra-e-ma.anī se afkār kā dariyā ho
ai zarra-e-āgāhī ab phail ke sahrā ho
rafta rahe vābasta har haal darīche se
fardā ke jharokoñ meñ maazī kā ujālā ho
ai bichhḌī huī naddī kis dasht meñ bahtī hai
phir jānib-e-dariyā aa aur shāmil-e-dariyā ho
āfāq-e-bulandī se āvāz ye aatī hai
ik asr meñ shāmil ho ik pal se alāhada ho
lamhe kī haqīqat kyā sadiyoñ ke tanāzur meñ
lekin jise tū chāhe vo rashk-e-zamāna ho
is dhuup ke raahī ko anjām se kuchh pahle
ik aisī masāfat de jis par tirā saaya ho
aisā na ho vo māñge tasdīq kā ik lamha
aur ham ne vahī lamha mahfūz na rakkhā ho
Top Urdushayar.com