hudūd-e-jāñ meñ had-e-nā-rasā se aayā huuñ
maiñ apne aap meñ lā-intihā se aayā huuñ
chamak rahī hai jabīñ par safar kī dhuul abhī
zamīñ kī dhund meñ raushan fazā se aayā huuñ
maiñ kis kī aañkh meñ ta.abīr kī tarah jāgūñ
sunahrā ḳhvāb huuñ aur qartaba se aayā huuñ
mirī hathelī pe raushan najāt kā lamha
maiñ aaj vādī-e-hamd-o-sanā se aayā huuñ
mujhe sambhāl ke rakh shahr-e-be-lihāz ki maiñ
kisī faqīr-manash kī duā se aayā huuñ
zavāl-e-ahd to shāyad mujhe na pahchāne
maiñ ik havāla huuñ aur karbalā se aayā huuñ