kahīñ par zulm ke sho.ale kahīñ par ḳhud-parastī hai
chaman kī aabrū ḳhatre meñ hai ye baat sachchī hai
vo gholā zahr nafrat kā siyāsat ne fazāoñ meñ
guloñ kī aañkh se shabnam lahū ban kar Tapaktī hai
baġhāvat par agar ham log utar aa.e to kyā hogā
abhī to ham ne rassī sabr kī ye thaam rakkhī hai
vahāñ insāf kī ummīd le kar jā rahe ho tum
jahāñ qānūn ne āñkhoñ se paTTī bāñdh rakkhī hai
taḌaptā huuñ bichhaḌ kar aap se kuchh is tarah 'jauhar'
binā paanī ke jaise ret pe machhlī taḌaptī hai