Adeel Zaidi

jis tarah chahiye kab kar-e-wafa hota hai

Adeel Zaidi

1958
jis tarah chāhiye kab kār-e-vafā hotā hai
haq mohabbat kā kahāñ ham se adā hotā hai
ham bahut chāhte haiñ amn-o-mohabbat har sū
vahī hotā hai jo manzūr-e-ḳhudā hotā hai
mushkiloñ meñ bhī buzurgoñ kā vazīfa ye thā
achchhe kāmoñ kā to achchhā hī silā hotā hai
fitratan saaz meñ āvāz kahāñ hotī hai
ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai
koī majbūrī uThā detī hai dīvār-e-anā
apnī marzī se bhalā kaun burā hotā hai
har vo insān ki jo dāvat-e-haq detā ho
na sahī qibla magar qibla-numā hotā hai
Top Urdushayar.com