Darā.egī bhalā kyā terī gardish āsmāñ mujh ko
milā rab se duā-e-fātima kā sā.ebāñ mujh ko
chalī hai chhoḌ kar tū kyuuñ bahār-e-gulistāñ mujh ko
ḳhudā jaane kahāñ le jaa.e ab bād-e-ḳhizāñ mujh ko
maiñ shukr-e-rab kā qaa.il huuñ havā kaisī hī chaltī ho
pata āsāniyoñ kā de ga.iiñ haiñ saḳhtiyāñ mujh ko
jalā dūñgā husūl-e-manzil-e-maqsūd kī ḳhātir
jalānī paḌ ga.iiñ gar saarī apnī kashtiyāñ mujh ko
na sham-e-anjuman meñ huuñ na parvānoñ kā mela hai
kahāñ thā maiñ kahāñ le aa.ī hai umr-e-ravāñ mujh ko
sunā hai sab bhulā baiThe 'adīl'-e-dil-shikasta ko
na jaane aa rahī haiñ shaam se kyuuñ hichkiyāñ mujh ko