us ko jab ki mire anjām se kuchh kaam nahīñ
mujh ko bhī ishq ke iqdām se kuchh kaam nahīñ
jazba-e-ishq na pahuñchā sakā jab maiñ us tak
mujh ko ab nāma-o-paiġhām se kuchh kaam nahīñ
ghar meñ jis ke liye rahtā thā vahī ab na rahā
ab mujhe ghar ke dar-o-bām se kuchh kaam nahīñ
muntazir rahtī thī har shaam tirī qurbat kī
tū nahīñ jab to mujhe shaam se kuchh kaam nahīñ
ilm kā jaam dar-e-ilm se miltā hai mujhe
mujh ko to aur kisī jaam se kuchh kaam nahīñ