Adeel Zaidi

bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe

Adeel Zaidi

1958
bas lamhe bhar meñ faisla karnā paḌā mujhe
sab chhoḌ-chhāḌ ghar se nikalnā paḌā mujhe
jab apnī sar-zamīn ne mujh ko na dī panāh
anjān vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe
paañv meñ aable the thakan umr bhar kī thī
ruknā thā baiThnā thā pa chalnā paḌā mujhe
apnī parakh ke vāste tūfāñ ke darmiyāñ
mazbūt kashtiyoñ se utarnā paḌā mujhe
terī anā ke haath meñ the tere faisle
tū to badal na paayā badalnā paḌā mujhe
be-intihā tazād thā donoñ kī soch meñ
kuchh yuuñ bhī rāste ko badalnā paḌā mujhe
ye bhī huā ki bā-dil-e-nā-ḳhvāsta kabhī
zinda haqīqatoñ se mukarnā paḌā mujhe
yakjā rahā ik umr magar terī diid ko
mānind-e-musht-e-ḳhāk bikharnā paḌā mujhe
āġhāz apne bas meñ na anjām hī 'adīl'
ik zindagī guzār ke marnā paḌā mujhe
Top Urdushayar.com