jahān-e-ilm kā bāb-e-nisāb hote hue
bhaTak rahā huuñ maiñ ahl-e-kitāb hote hue
kuchh aur bhī hai ḳharābī kī dūsrī sūrat
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ ḳharāb hote hue
jo kaam dil ko mire fitratan nahīñ bhāte
unheñ maiñ kar nahīñ paatā savāb hote hue
mire hī dam se hai jo kuchh bhī is jahān meñ hai
maiñ kaise ḳhud ko bhulā duuñ janāb hote hue
'adīl' jo the in āñkhoñ kī raushnī kal tak
vo chehre dekh rahā huuñ maiñ ḳhvāb hote hue