Adeel Zaidi

nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich

Adeel Zaidi

1958
naam suntā huuñ tirā jab bhare sansār ke biich
lafz ruk jaate haiñ aa kar mirī guftār ke biich
ek hī chehra kitābī nazar aatā hai hameñ
kabhī ash.ār ke bāhar kabhī ash.ār ke biich
ek dil TuuTā magar kitnī naqābeñ palTīñ
jiit ke pahlū nikal aa.e ka.ī haar ke biich
koī mahfil ho nazar us kī hamīñ par Thahrī
kabhī apnoñ meñ satāyā kabhī aġhyār ke biich
aise zāhid kī qayādat meñ to tauba tauba
kabhī īmān kī bāteñ kabhī kuffār ke biich
kabhī tahzīb-o-tamaddun kā ye markaz thā miyāñ
tum ko bastī jo nazar aatī hai āsār ke biich
jis tarah TaaT kā paivand ho maḳhmal meñ 'adīl'
maġhribī chāl-chalan mashriqī aqdār ke biich
Top Urdushayar.com