Adeel Zaidi

tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke

Adeel Zaidi

1958
tū jo chāhe bhī to sayyād nahīñ hone ke
lab hamāre lab-e-fariyād nahīñ hone ke
us ke kūche meñ miyāñ ḳhaak uḌāte kyuuñ ho
tum se majnūñ to use yaad nahīñ hone ke
koī achchhī bhī ḳhabar kaan meñ aa.e yārab
aisī ḳhabroñ se to dil shaad nahīñ hone ke
tū rahe ham se ḳhafā kitnā hī chāhe lekin
ham magar tujh se to nāshād nahīñ hone ke
kār-e-duniyā ko haiñ darkār hamārī umreñ
kār-e-duniyā se to āzād nahīñ hone ke
an-ginat jāgte chehre ga.e miTTī ke tale
ab na.e zulm to ījād nahīñ hone ke
tā-qayāmat vahī ik naam rahegā ābād
ham kabhī mustaqil ābād nahīñ hone ke
ḳhaak ho jā.eñge ye to hai muqaddar apnā
ham magar vo haiñ ki barbād nahīñ hone ke
chāhe namrūd ho fir.aun ho yā ki ho yazīd
sāhab-e-shajra-o-aulād nahīñ hone ke
Top Urdushayar.com