rah-e-hayāt meñ jo log jāvedāñ nikle
vahī vafā-o-mohabbat ke tarjumāñ nikle
ajiib sehr kā aalam thā us kī mahfil meñ
zabāñ pe naaz thā jin ko vo be zabāñ nikle
vahāñ vahāñ pe vafā-dāriyoñ kā zor baḌhā
tumhāre chāhne vaale jahāñ jahāñ nikle
safar kī hasrateñ niklīñ bahut mirī yārab
magar jo dil meñ the armān vo kahāñ nikle
aziiz yuuñ to bahut haiñ aziiz kyā kahiye
ka.ī aziiz magar mujh se bad-gumāñ nikle
yaqīñ bahut thā mohabbat pe tum ko apnī 'adīl'
yaqīñ ke badle vahāñ bhī faqat gumāñ nikle