Adeel Zaidi

ye zamini bhi hai zamani bhi

Adeel Zaidi

1958
ye zamīnī bhī hai zamānī bhī
fitrat-e-ishq āsmānī bhī
shart hai jaañ se jā.iye pahle
hai ajab umr-e-jāvedānī bhī
tum ne jo dāstāñ sunā.ī hai
hai vahī to mirī kahānī bhī
kitne dilchasp lagne lagte haiñ
mere qisse tirī zabānī bhī
haiñ zarūrī bahut hamāre liye
ye fazā aag aur paanī bhī
ho ga.ī ḳhatm ik kiran ke saath
raat bhī niiñd bhī kahānī bhī
mat inheñ jāniye dar-o-dīvār
in meñ yādeñ haiñ kuchh suhānī bhī
in dīvāroñ pe hī huī tahrīr
mere maañ baap kī javānī bhī
ham jo ghar chhoḌ kar chale aa.e
the vo ajdād kī nishānī bhī
lā-makāñ hī kā zikr-e-ḳhair 'adīl'
go haiñ qisse bahut makānī bhī
Top Urdushayar.com