Adeel Zaidi

Khaali duniya mein guzar kya karte

Adeel Zaidi

1958

ḳhālī duniyā meñ guzar kyā karte

bin tire umr basar kyā karte

ne manzil badal apnī

ham tere saath safar kiyā karte

ek ḳhvāb-e-junūñ kaafī thā

dekh kar baar digar kiyā karte

apnī uljhanoñ meñ uljhe the

ham tirī zulf ko sar kyā karte

ham jo dīvāngī meñ kar guzre

aql vaale vo hunar kyā karte

jo kiyā ne ḳhudā jāntā hai

ham tire saath magar kyā karte

jabki raste meñ bikharnā thā

bāñdh kar raḳht-e-safar kyā karte

jism bojh liye lauTe the

shahr vāloñ ko ḳhabar kyā karte

jo kiyā ne ḳhudā jāntā hai

ham tire saath magar kyā karte

ḳhud zamīñ oḌh ki ham aage

aur be-samt safar kyā karte

Top Urdushayar.com