Adeel Zaidi

hum apna aap luTane kahan pe aa gae hain

Adeel Zaidi

1958
ham apnā aap luTāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
ḳhud apnī qadreñ gañvāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
diloñ se dil mile rahte the ġhurbatoñ meñ miyāñ
shikam kī aag bujhāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
likhā thā purkhoñ ne sadiyoñ meñ jin ko mehnat se
vo saare shajre jalāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
jo chāhte the rahe apnī zaat tak har baat
vo apne zaḳhm dikhāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
zamīñ pe apnī hī jal bujh ke ḳhaak ho jaate
ham apne dil ko jalāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
ye vo jagah hai jahāñ jism tak nahīñ chhupte
ham apne sar ko chhupāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
kisī bhī rishte kī izzat yahāñ nahīñ baaqī
miyāñ ye aaj zamāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
ye sach hai ahd-e-taraqqī kiyā thā ḳhud se 'adīl'
magar ye ahd nibhāne kahāñ pe aa ga.e haiñ
Top Urdushayar.com