Adeel Zaidi

qarz-e-jaan se nimaT rahi hai hayat

Adeel Zaidi

1958
qarz-e-jāñ se nimaT rahī hai hayāt
us kī jānib palaT rahī hai hayāt
rafta rafta ghaTā chhaTe jaise
bas isī tarah chhaT rahī hai hayāt
chehra pahchān tak nahīñ paatī
gard meñ itnī aT rahī hai hayāt
jaise sūraj ġhurūb hotā hai
phail kar yuuñ simaT rahī hai hayāt
kitne manzar haiñ ek manzar meñ
kitne hissoñ meñ baT rahī hai hayāt
koī us ko baḌhā na paayā 'adīl'
lamha lamha jo ghaT rahī hai hayāt
Top Urdushayar.com