ham ne thāmā yaqīñ ko gumāñ chhoḌ kar
ik taraf ho ga.e darmiyāñ chhoḌ kar
dil na maanā ji.eñ kahkashāñ chhoḌ kar
jā ke baste kahāñ ḳhāndāñ chhoḌ kar
apnā ghar chhoḌ kar bastiyāñ chhoḌ kar
be-amāñ ho ga.e ham amaañ chhoḌ kar
so ga.e beach meñ dāstāñ chhoḌ kar
ham alag ho ga.e kārvāñ chhoḌ kar
kaise nādāñ the ham sab kahāñ aa ga.e
apne ābāo-jad ke makāñ chhoḌ kar
saath chalte rahe ye na sochā kabhī
kaun jā.egā kis ko kahāñ chhoḌ kar
aaj bhī muntazir ham vahīñ haiñ tire
kal gayā thā hameñ to jahāñ chhoḌ kar
raah apnī nikālī to manzil milī
ham chale jāda-e-rahbarāñ chhoḌ kar
hai ye ma.alūm gar jism-o-jāñ se ga.e
sab chale jā.eñge mehrbāñ chhoḌ kar
gar tumhārī tamannā hai daa.im raho
jaao zehnoñ meñ raushan nishāñ chhoḌ kar
tum to tanhā hue jīte-jī hī 'adīl'
log jaate haiñ tanhā jahāñ chhoḌ kar