usī ke kahne pe munhasir hai
ye saarā us kī sar-e-rāh par hai
kamāl-e-dād us ko is qadar hai
ye zor us kī hī vaah par hai
kahāñ kahāñ kis ko kyā milegā
ye faisla sarbarāh par hai
kisī kī āñkhoñ ke ashk par hai
kisī ke hoñToñ kī aah par hai
badal to luuñ rāsta magar phir
nazar abhī zād-e-rāh par hai
chalegā ab kitnī duur tak tū
ye apne zor-e-nibāh par hai
har ek mehvar har ek markaz
abhī tak us kaj-kulāh par hai
vo baḳhsh de chāhe maar Daale
ye faisla aaj shaah par hai
kahāñ se palTe kahāñ pe Thahre
ye munhasir ab nigāh par hai
lo aaj Dūbeñ ki paar utreñ
ye sab to 'mumtāz' chaah par hai