mohabbat bāñTne nikle the patthar le ke ghar lauTe
bahut se dasht chhāne aur ho ke dar-ba-dar lauTe
hamārī soch se dil tak baḌī lambī masāfat hai
chalo ab dekhte haiñ ki kahāñ se ye nazar lauTe
jahāñ meñ masnadeñ ab be-hunar ābād karte haiñ
jabhī to le ke āñkheñ nam sabhī ahl-e-hunar lauTe
liye ham kāñch kā dil bar-sar-e-bāzār baiThe haiñ
the patthar jinkī jholī ḳhush vahī to bāzīgar lauTe
vo jhūTe log jo mil kar hamīñ ko jhuuT kar deñge
unhīñ ko aazmā kar ham bhī apnī rahguzar lauTe
qarār-e-jāñ banāne ko bahāne aur kyā kam the
bhalā 'mumtāz' le ke kaun yuuñ zaḳhmī jigar lauTe