dhūl-bharī āñdhī meñ sab ko chehrā raushan rakhnā hai
bastī pīchhe rah jā.egī aage aage sahrā hai
ek zarā sī baat pe us ne dil kā rishta toḌ diyā
ham ne jis kā tanhā.ī meñ barsoñ rasta dekhā hai
pyaar mohabbat āh-o-zārī lafzoñ kī tasvīreñ haiñ
kis ke pīchhe bhaag rahe ho dariyā bahtā rahtā hai
phuul parinde ḳhushbū bādal sab us kā saayā Thahre
us ne jab se ā.īne meñ ġhaur se ḳhud ko dekhā hai
mujh ko ḳhushbū DhūñDne aa.e mere pīchhe chāñd phire
aaj havā ne mujh se pūchhā kyā aisā bhī hotā hai
kal jo maiñ ne jhāñk ke dekhā us kī niilī āñkhoñ meñ
us ke dil kā zaḳhm to 'mājid' sāgar se bhī gahrā hai