kyuuñ diyā thaa? batā! merī vīrāniyoñ meñ sahārā mujhe
maiñ udāsī ke malbe tale dafn thii, kyuuñ nikālā mujhe
aisī nāzuk thī ghar ke parindoñ se bhī ḳhauf khātī thī maiñ
ye kahāñ, kin darindoñ ke jañgal meñ pheñkā hai tanhā mujhe
ḳhvāb TuuTe the aur kirchiyāñ ab bhī āñkhoñ meñ paivast haiñ
ab ye kis muñh se phir ḳhvāb kī anjuman ne pukārā mujhe
aaTh tak to ye gintī bhī āsān thī tū ne paḌh lii, so ab...
calculator pakaḌ aur sunā! apnā nau kā pahāḌā mujhe
yaar thā tū kabhī, terī nazmeñ hamesha salāmat raheñ
daaġh dene ko phir ye ridā chāhiye to batānā mujhe
bas yūñhī dard kā abr sheroñ kī bārish meñ Dhaltā gayā
vārisān-e-suḳhan! koī tamġha nahīñ hai kamānā mujhe
koī aisā tarīqa batā terī āvāz ko chuum luuñ
uff ye terā ''farīha! mirī jān'' kah kar bulānā mujhe