shanāsā.ī kā silsila dekhtī huuñ
ye tum ho ki maiñ aa.inā dekhtī huuñ
hathelī se ThanDā dhuāñ uTh rahā hai
yahī ḳhvāb har martaba dekhtī huuñ
baḌhe jā rahī hai ye raushan-nigāhī
ḳhurāfāt-e-zulmat-kada dekhtī huuñ
mire hijr ke faisle se Daro tum!
maiñ ḳhud meñ ajab hausla dekhtī huuñ