Fariha Naqvi

wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe

Fariha Naqvi

vo agar ab bhī koī ahd nibhānā chāhe
dil kā darvāza khulā hai jo vo aanā chāhe
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hī na ho
dil bahar-taur use apnā banānā chāhe
din guzar jaate haiñ qurbat ke na.e rañgoñ se
raat par raat hai vo ḳhvāb purānā chāhe
ik nazar dekh mujhe!! merī ibādat ko dekh!!
bhuul pā.egā agar mujh ko bhulānā chāhe
vo ḳhudā hai to bhalā us se shikāyat kaisī?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhānā chāhe
ḳhuun umaD aayā ibārat meñ, varaq chīḳh uThe
maiñ ne vahshat meñ tire ḳhat jo jalānā chāhe
noch Dālūñgī use ab ke yahī sochā hai
gar mirī aañkh koī ḳhvāb sajānā chāhe
Top Urdushayar.com