ise bhī chhoḌūñ use bhī chhoḌūñ tumheñ sabhī se hī mas.ala hai?
mirī samajh se to bālā-tar hai ye pyaar hai yā muāhida hai
''jo tū nahīñ thī to aur bhī the jo tū na hogī to aur hoñge''
kisī ke dil ko jalā ke kahte ho merī jaañ ye muhāvara hai
ham aaj qaus-e-quzah ke mānind ek duuje pe khil rahe haiñ
mujhe to pahle se lag rahā thā ye āsmānoñ kā silsila hai
vo apne apne tamām sāthī, tamām mahbūb le ke aa.eñ
to mere hāthoñ meñ haath de de hameñ bhī izn-e-mubāhla hai
are o jāo!! yuuñ sar na khāo!! hamārā us se muqābla kyaa?
na vo zahīn-o-fatīn yaaro na vo hasīñ hai na shā.era hai