khul kar āḳhir jahl kā elaan honā chāhiye
haq-parastoñ ke liye zindān honā chāhiye
is vatan meñ muqtadir hone kī pahlī shart hai
aadmī ke ruup meñ shaitān honā chāhiye
aap jaisoñ ko re.āyā jheltī hai kis tarah
aap ko to soch kar hairān honā chāhiye
niim mullā ḳhatra-e-īmān hotā hai agar
puurā mullā ġhāsib-e-īmān honā chāhiye
dil se sharminda huuñ ye ash.ār jo maiñ ne kahe
aap ke e.azāz meñ dīvān honā chāhiye