laakh dil ne pukārnā chāhā
maiñ ne phir bhī tumheñ nahīñ rokā
tum mirī vahshatoñ ke sāthī the
koī āsān thā tumheñ khonā?
tum mirā dard kyā samajh paate
tum ne to sher tak nahīñ samjhā
kyā kisī ḳhvāb kī talāfī hai?
aañkh kī dhajjiyoñ kā uḌ jaanā
is se rāhat kashīd kar!! din raat
dard ne mustaqil nahīñ rahnā
aap ke mashvaroñ pe chalnā hai?
achchhā suniye maiñ saañs le luuñ kyaa?
ḳhvāb meñ amritā ye kahtī thī
in se koī sila nahīñ beTā
dekh tezāb se jale chehre
ham haiñ aise samāj kā hissa
laḌkhaḌānā nahīñ mujhe phir bhī
tum mirā haath thaam kar rakhnā
vārisān-e-ġham-o-alam haiñ ham
ham salonī kitāb kā qissa
sun mirī bad-gumāñ parī!! sun to
har koī bheḌiyā nahīñ hotā