mohabbat meñ nigāh-e-sharmagīñ jiine nahīñ detī
falak badnām hai lekin zamīñ jiine nahīñ detī
hayāt-o-maut kī ye kashmakash bhī ik tamāshā hai
ki haañ marne nahīñ detī nahīñ jiine nahīñ detī
vo kahte haiñ mire naqsh-e-qadam kī kyā ḳhatā us meñ
jo tujh ko terī āvāra jabīñ jiine nahīñ detī
rahūñ gulshan meñ yā sahrā meñ dīvāna hī kahtī hai
ye duniyā kaisī duniyā hai kahīñ jiine nahīñ detī
junūñ kahtā hai koī taar bhī baaqī na rah jaa.e
ḳhirad ko fikr-e-jeb-o-āstīñ jiine nahīñ detī
mubārak nāla-e-mazlūm vo zālim pukār uTThā
are ab terī āh-e-ātishīñ jiine nahīñ detī
amal kī quvvateñ haiñ tābe-e-hosh-o-ḳhirad 'nāzish'
mujhe merī nigāh-e-dūr-bīñ meñ jiine nahīñ detī