jān-e-bahār-e-zindagī āñkheñ zarā milā.e jā
gulshan-e-qalb par mire barq-e-nazar girā.e jā
apnā mujhe banā.e jā dil meñ mire samā.e jā
band-e-hijāb toḌ de naqsh-e-duī miTā.e jā
mutrib-e-ḳhush-navā na jā zaḳhm-e-jigar kured kar
chheḌā hai jis pe sāz-e-dil naġhma vahī sunā.e jā
mausam-e-gul kā vāsta abr-e-bahār kī qasam
jab tak girūñ na jhuum kar saaqī mujhe pilā.e jā
maanā ki thak ga.e haiñ paañv hausla-e-shabāb ke
phir bhī Thahar ke dam na le aage qadam baḌhā.e jā
Thes lage lagā kare dard uThe uThā kare
āñkhoñ se ḳhuuñ bahā kare phir bhī tū muskurā.e jā
nāz-o-niyāz-e-ishq kā ḳhatm na ho ye silsila
'nāzish'-e-ḳhasta-hāl ko hañs hañs ke tū rulā.e jā