Nazish Sikandarpuri

mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai

Nazish Sikandarpuri

mirā dil sañg-dil ne dil kā armāñ ban ke luuTā hai
ġhazab hai ḳhāna-e-ulfat ko mehmāñ ban ke luuTā hai
kiyā andher zālim ne bujhā kar sham-e-ulfat ko
umīdoñ kī sahar ko shām-e-hijrāñ ban ke luuTā hai
jhalak dikhlā ke jis ne niiñd āñkhoñ kī uḌaa.ī thī
usī ne naqd-e-dil ḳhvāb-e-pareshāñ ban ke luuTā hai
zabān-e-ishq meñ jis ko kaheñge dushman-e-īmāñ
usī paimāñ-shikan ne rūh-e-īmāñ ban ke luuTā hai
zabān-e-shauq par rakh rakh ke ilzām-e-suḳhan-sāzī
but-e-ḳhāmosh ne mujh ko zabān-dāñ ban ke luuTā hai
maiñ jis ko manzil-e-maqsūd kā rahbar samajhtā thā
usī be-dard ne mujh ko nigahbāñ ban ke lauTā hai
kiyā mujh ko shikār-e-kufr le kar aaḌ īmāñ kī
kisī kāfir ne ai 'nāzish' musalmāñ ban ke luuTā hai
Top Urdushayar.com