vo ek pal ko mujhe itnā sach lagā thā ki bas
vo hādisa thā magar aisā hādisa thā ki bas
vo pahle pahle milā thā to yuuñ sajā thā ki bas
phir us ke ba.ad to aisā ujaḌ gayā thā ki bas
maiñ apne gaañv ke dīvār-o-dar pe kyā likhtā
vahāñ to aisā añdherā chunā huā thā ki bas
vo ek aam sā lahja thā bhīge mausam kā
nigāh-o-dil meñ magar yuuñ utar gayā thā ki bas
bas ek moḌ talak ham-safar dilāse the
phir us ke ba.ad to vo saḳht marhala thā ki bas
ġharīb TuuT na jaatā to aur kyā kartā
tamām umr zamāne se yuuñ laḌā thā ki bas
na aa sakā vo mire ghar to kyā huā 'nāzim'
ki rāsta bhī to aisā ghumāv kā thā ki bas