Nazim Sultanpuri

baDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din

Nazim Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1927
baḌī tamannā hai jā.ūñ sū-e-sitam kisī din
mizāj pūchhe to koī ahl-e-karam kisī din
vo bhīgā chehra sabhoñ se haT kar savāl pūchhe
hamārī āñkhoñ kī aag hogī na kam kisī din
hamāre maslak kā aadmī kyā kahegā ham ko
jo Dhal ga.e maslahat ke sāñche meñ ham kisī din
hamāre mābain bad-gumānī kī iiñT kaisī
mile jo mauqa to pūchheñ tujh se sanam kisī din
jo ā.īne meñ tumhāre jaage vo aks rakh lo
ye bhiiḌ parchhā.iyoñ kī hogī na kam kisī din
tumheñ bhī ham zindagī kī koī salāh deñge
samajh ga.e dhūp-chhāñv apnī jo ham kisī din
hamāre hisse kī raushnī tum jagā.e rakhnā
ki tīrgī ke safar se lauTeñge ham kisī din
Top Urdushayar.com