ye dauḌ-dhūp ba-har-sub.h-o-shām kis ke liye
bas ek naam kī ḳhātir ye naam kis ke liye
mirā vajūd ba-sad ehtimām kis ke liye
tamām umr jalā sub.h-o-shām kis ke liye
yahāñ to koī nahīñ ūñghte diyoñ ke sivā
bharā hai tum ne mohabbat kā jaam kis ke liye
umañD paḌī hai ḳhudā.ī ajiib aalam hai
sunā gayā vo sazā-e-davām kis ke liye
bahut kaThin hai mohabbat kī nāz-bardārī
vo shaḳhs chhoḌ gayā hai ye kaam kis ke liye
ye rāh-o-rasm zamāne se kis kī ḳhātir hai
ye har kisī se duā-o-salām kis ke liye
vahī jo ḳhuun ke pyāse the kal talak 'nāzim'
ye mīThe bol ye shīrīñ kalām kis ke liye