Ibn-ul-Hasan

khiDki kholo kuchh to yahan bhi taza narm hawa aae

Ibn-ul-Hasan

khiḌkī kholo kuchh to yahāñ bhī taaza narm havā aa.e
manzar sahn-e-chaman kā ubhre bū-e-dard-rubā aa.e
be-jāñ fan meñ jaan sī aa.e zaḳhm-e-tamannā taaza ho
yaad meñ rañg hinā kā lahke raqs meñ bād-e-sabā aa.e
māh-gazīda raat hai sākit jaise koī ā.īna
os ke sabze par girne kī sannāTe meñ sadā aa.e
fazl-e-ḳhizāñ ke sūkhe patte haañp rahe haiñ saa.e meñ
saaya apne tah-ḳhānoñ meñ jaa.e unheñ pahuñchā aa.e
pahroñ dil se bāteñ kar ke chain se baiThe haiñ aise
jaise jo kuchh bhī kahnā thā duniyā-bhar ko sunā aa.e
nahr pe sāya-bār shajar ke jaal se maujeñ uljhī haiñ
koī 'hasan' us uljhā de koī jaa.e zarā suljhā aa.e
Top Urdushayar.com