Mohsin Aftab Kelapuri

dhire dhire qabr ke andar talak pahunchaegi

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
dhīre dhīre qabr ke andar talak pahuñchā.egī
ek din mujh ko mirī ye hasrateñ khā jā.eñgī
bol collar chhoḌ deñ mere charāġhoñ kī ai raat
varna jo pāgal havā.eñ haiñ tirī pachhtā.eñgī
aao apne mas.aloñ ko ḳhud hī suljhāte haiñ ham
ye siyāsī parTiyāñ aur hameñ uljhā.eñgī
beTiyoñ ko saañs lene do khule māhaul meñ
varna ye bechāriyāñ ghuT ghuT ke hī mar jā.eñgī
zindagānī se haiñ jo shikve gile miT jā.eñge
rahmateñ allāh kī jab nuur se nahlā.eñgī
apnī ḳhuddārī ko bhī nīlām maiñ ne kar diyā
mujh se ye majbūriyāñ ab aur kyā karvā.eñgī
Top Urdushayar.com