Mohsin Aftab Kelapuri

nazar ko bhae jo manzar pahan ke nikla hai

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
nazar ko bhaa.e jo manzar pahan ke niklā hai
dhanak vo apne badan par pahan ke niklā hai
maiñ aa.ina huuñ magar pattharoñ se kah denā
ik aa.ina hai jo patthar pahan ke niklā hai
vo apnī aañkh kī uryāniyat chhupāne ko
hayā kī aañkh pe chādar pahan ke niklā hai
chhupā ke rakhtā to tū bhī havas se bach jaatā
magar tū husn kā zevar pahan ke niklā hai
zamāna us ko kabhī bhī Darā nahīñ saktā
ḳhudā kā ḳhauf jo dil par pahan ke niklā hai
kulāh sar pe nahīñ munsif-e-zamāna ke
vo apne sar pe mirā sar pahan ke niklā hai
Top Urdushayar.com