bashīr 'badr' kī ġhazleñ sunā rahā thā maiñ
kal āsmāñ ko zamīñ par bulā rahā thā maiñ
guzar rahā thā maiñ jab mai-kade kī rāhoñ se
jigar ke haath se dāman bachā rahā thā maiñ
ye baat sab ko batā.ī thī mirzā ġhālib ne
bahār ghar meñ thī sahrā uḌā rahā thā maiñ
tumhārī yaad bhī chupke se aa ke baiTh ga.ī
ġhazal jo 'mīr' kī ik gungunā rahā thā maiñ
udaas shaam nazar aa.ī jaan ke jaisī
jab intizār meñ tere khaḌā rahā thā maiñ
vo amritā kī tarah mujh se ishq kartī thī
so apne aap ko 'sāhir' batā rahā thā maiñ
'farāz'-o-'faiz' ke dilkash kalām ko paḌh kar
mohabbatoñ kā tarīqa sikhā rahā thā maiñ
'majāz' kaan meñ mere batā ga.e aa kar
ki kaise husn ko pāgal banā rahā thā maiñ
'shakīl' aazmī kahne lage paroñ ko khol
jo sū-e-asmāñ sar ko uThā rahā thā maiñ
ye bātoñ bātoñ meñ mujh ko batā ga.e 'tanvīr'
kal us ke haath kā kañgan ghumā rahā thā maiñ
'nidā' ne shahr meñ gaañv basā ke rakhā thā
so un se milne usī gaañv jā rahā thā maiñ
lipaT ke rone lage mujh se shā.ir-e-mashriq
jab un ko qaum kī hālat batā rahā thā maiñ
'zafar' batā.eñge tum ko yā maiñ batā.ūñgā
ke mulk chhoḌ ke kis tarah jā rahā thā maiñ
ajab hī ḳhvāb dikhā.ī diyā mujhe 'mohsin'
kal āftāb kī mayyat uThā rahā thā maiñ