Mohsin Aftab Kelapuri

kuchh naya kaam nae taur se karne ke liye

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
kuchh nayā kaam na.e taur se karne ke liye
log mauqa.a hī nahīñ dete sudharne ke liye
jaao jā kar ke ġharīboñ ke diloñ meñ jhāñko
kitnī bechain tamannā.eñ haiñ marne ke liye
us pe marte ho to phir duniyā kī parvā kaisī
ishq hotā hai miyāñ had se guzarne ke liye
koī āsānī se fankār nahīñ bantā hai
muddateñ chāhiye ik fan ko nikharne ke liye
muñh uThā kar ke phir aa.ī hai ye tauba tauba
shab judā.ī kī mire ghar meñ Thaharne ke liye
kisī doshīza kī zulfeñ ye nahīñ qismat hai
vaqt lagtā hai bahut us ko sañvarne ke liye
aaj is baat kā ehsās huā hai mujh ko
ḳhvāb 'mohsin' the mire sirf bikharne ke liye
Top Urdushayar.com