hamāre dil meñ yādoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
ki is kamre meñ phūloñ ko salīqe se rakhā jaa.e
masīhā.ī kī phir koī zarūrat hī nahīñ paḌtī
agar zaḳhmoñ pe ashkoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
diloñ kī hukmarānī kā ye ik achchhā tarīqa hai
har ik jumle meñ lafzoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
adab hai dīn-o-duniyā hai chhupā hai ilm bhī is meñ
mire bachcho kitāboñ ko salīqe se rakhā jaa.e
tirā ye ghar lagegā ḳhūbsūrat ai mire bhaa.ī
agar in saare rishtoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
vo jaane vaalā jaane kaun se pal lauT kar aa.e
abhī raste pe āñkhoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
barastī hai ḳhudā kī rahmateñ un kī duāoñ se
gharoñ meñ sab buzurgoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
ġharībī dekhtī rahtī hai hasrat se khaḌī ho kar
dukānoñ meñ khilaunoñ ko salīqe se rakhā jaa.e
paḌosī kā bhī haq hai tujh pe itnā yaad rakh 'mohsin'
muñDeroñ par charāġhoñ ko salīqe se rakhā jaa.e