taan kar siine ko chalne hī nahīñ detī mujhe
buzdilī ghar se nikalne hī nahīñ detī mujhe
koshisheñ apnī taraf se kar ke maiñ ne dekh liiñ
zindagī lekin sambhalne hī nahīñ detī mujhe
hoñT par taale lagā kar chhīn letī hai qalam
zahar-e-dil duniyā ugalne hī nahīñ detī mujhe
sochtā huuñ maiñ bhī ho jā.ūñ zamāne kī tarah
par mirī fitrat badalne hī nahīñ detī mujhe
mere siine meñ jo patthar hai pighal jaatā magar
jo anā mujh meñ hai jalne hī nahīñ detī mujhe