Mohsin Aftab Kelapuri

jis tarah dhup ka rangat pe asar paDta hai

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
jis tarah dhuup kā rañgat pe asar paḌtā hai
nafs kā vaise ibādat pe asar paḌtā hai
aise mujh par bhī tire ġham ke nishāñ dikhte haiñ
jaise mausam kā imārat pe asar paḌtā hai
sirf māhaul se fikreñ nahīñ badlā kartīñ
dostoñ kā bhī tabī.at pe asar paḌtā hai
dushmanoñ se hī nahīñ hotā hai ḳhatra lāhiq
bāġhiyoñ se bhī hukūmat pe asar paḌtā hai
ab samajh aayā sabab mujh ko mirī pastī kā
maañg ghaTtī hai to qīmat pe asar paḌtā hai
bhuuk nekī kī lage yā ki lage duniyā kī
bhuuk lagtī hai to sūrat pe asar paḌtā hai
rizq ruktā hai namāzoñ ke qazā karne se
niyyateñ bad hoñ to barakat pe asar paḌtā hai
saaf dikhtī hai buḌhāpe meñ qazā sach to hai
umr ke saath basīrat pe asar paḌtā hai
paas rahne se hī baḌhtī nahīñ chāhat 'mohsin'
fāsloñ se bhī mohabbat pe asar paḌtā hai
Top Urdushayar.com