na aa.e kaam kisī ke jo zindagī kyā hai
bashar-navāz na ho jo vo aadmī kyā hai
zamāna-sāz haiñ jo vo haiñ maslahat-andesh
jo ho ḳhulūs se aarī vo dostī kyā hai
pas-az-vafāt na leñ jis kā naam us ke aziiz
tavañgarī hai agar ye to muflisī kyā hai
karo na dast-darāzī ḳhudā ke bandoñ par
hai naam us kā shujā.at to buzdilī kyā hai
haqīqī dostī vo hai ho jis meñ josh-o-ḳharosh
nashāt-e-rūh na ho jis meñ ḳhush-dilī kyā hai
azīz-tar haiñ mujhe ḳhud se bhī hasan-chishtī
batā.ūñ aap ko kyā banda-parvarī kyā hai
na ho jo qārī-o-sāme.a pe kuchh asar-andāz
fareb mahz hai 'barqī' vo shā.irī kyā hai