gul-badan gul-ezār aa jaao
jā rahī hai bahār aa jaao
hai agar mujh se pyaar aa jaao
hai fazā sāz-gār aa jaao
dīda-o-dil haiñ farsh-e-rāh mire
hama-tan intizār aa jaao
chhūT jaa.e kahīñ na dāman-e-sabr
na karo be-qarār aa jaao
aa ke chāho to phir chale jaanā
ba-ḳhudā ek baar aa jaao
jaise pahle milā thā maiñ tum se
tum bhī dīvāna-vār aa jaao
tum satāoge kitnā barqī ko
ho agar ġham-gusār aa jaao