is ke ghar se mere ghar tak ek kahānī biich meñ hai
merī us kī rāhguzar tak ek kahānī biich meñ hai
chappa chappa us kī galī kā rahā hai mere zer-e-qadam
josh-e-junūñ se azm-e-safar tak ek kahānī biich meñ hai
zulf-o-lab-o-ruḳhsār kisī kā hai merā mauzū-e-suḳhan
tārīkī se nūr-e-nazar tak ek kahānī biich meñ hai
ḳhūn-e-jigar shāmil hai merā is gulzār kī raunaq meñ
sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahānī biich meñ hai
kaun-o-makāñ kī har shai meñ haiñ fitrat ke asrār-o-rumūz
bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahānī biich meñ hai
maal bhī aksar ho jaatā hai jaan kā logoñ kī janjāl
batn-e-sadaf se la.al-o-gohar tak ek kahānī biich meñ hai
zid na karo tum sun na sakoge 'barqī' kā ye soz-e-darūñ
tīr-e-nazar se zaḳhm-e-jigar tak ek kahānī biich meñ hai