Ahmad Ali Barqi Azmi

ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
ehsās kā vasīl-e-iz.hār hai ġhazal
ā.īna-dār-e-nudrat-e-afkār hai ġhazal
urdu adab ko jis pe hamesha rahegā naaz
iz.hār-e-fikr-o-fan kā vo me.aar hai ġhazal
guldasta-e-adab kā gul-e-sar-sabd hai ye
haiñ jis meñ gul-ezār vo gulzār hai ġhazal
aatī hai jis vasīle se dil se zabān par
ḳhvābīda hasratoñ kā vo iz.hār hai ġhazal
urdu zabān dil hai ġhazal us kī jaan hai
nau-e-bashar kī mūnis-o-ġham-ḳhvār hai ġhazal
pahle hadīs-e-dilbarī kahte the is ko log
ab tarjumān-e-kūcha-o-bāzār hai ġhazal
pesh-e-nazar agar ho 'valī'-dakkanī kā tarz
mashshāta-e-arūs-e-trahdār hai ġhazal
hai 'mīr' o 'zauq' o 'ġhālib' o 'momin' ko jo aziiz
vo dil-navāz jalva-gah-e-yār hai ġhazal
'barqī' ke fikr-o-fan kā muraqqa.a isī meñ hai
'barq'-āzmī se matla-e-anvār hai ġhazal
Top Urdushayar.com