ye jahān-e-āb-o-gil lagtā hai ik maayā mujhe
har-qadam par justujū ne jis kī bahkāyā mujhe
zindagī-bhar mere apnoñ ne diyā mujh ko fareb
the jo begāne unhoñ ne aa ke apnāyā mujhe
va.ada-e-imroz-o-fardā meñ ulajh kar rah gayā
zindagī-bhar sabz-bāġh ik aisā dikhlāyā mujhe
ik muammā jaise ho sab ke liye merā vajūd
har kisī ne apne apne zarf tak paayā mujhe
jis ko dekho gardish-e-hālāt kā hai vo shikār
har koī jaise nazar aatā ho ghabrāyā mujhe
ahl-e-duniyā ne diye haiñ is qadar mujh ko fareb
kartā hai vahshat-zada ab apnā hī saayā mujhe
us kī zulf-e-ḳham-ba-ḳham se ab nikalnā hai muhāl
ġhamza-o-nāz-o-adā se aisā uljhāyā mujhe
ab jahāñ koī nahīñ mere liye rāh-e-farār
merā jazb-e-shauq āḳhir kis jagah laayā mujhe
jā.ūñ to jā.ūñ kahāñ koī nahīñ hai ḳhizr-e-rāh
umr-bhar josh-e-junūñ ne mere taḌpāyā mujhe
ab uḌātā hai mirī sahrā-navardī kā mazāq
ishq karne ke liye thā jis ne uksāyā mujhe
kar dī sab apnī matā-e-zindagī jis par nisār
ye jahān-e-rañg-o-bū hargiz na raas aayā mujhe
maiñ samajhtā thā jise apnā rafīq-e-zindagī
taḳhta-e-mashq-e-sitam us ne hī banvāyā mujhe
thā mirā jo hāshiya-bardār 'barqī'-āzamī
us ne hī tauq-e-ġhulāmī aa ke pahnāyā mujhe